Showing posts with label Husool e Daulat. Show all posts
Showing posts with label Husool e Daulat. Show all posts

Tuesday, January 14, 2020

Sharaf e Zohara Ka Nayab Lohe Taskheer e Lasani شرفِ زہرہ کا لوحِ تسخیرِ لاثانی


Sharaf e Zohara Ka Nayab Lohe Taskheer e Lasani
lohe zohra aur sharaf e zohra ka nam sunte hi hub o taskheer ,husn o khubsoorti ,maqbool e khalaiq , pasand ki shadi, muhabbat me kamyabi, aur zohra se talluq rakhne wale karobar  me kamyabi urooj o taraqqi ka khayal zehan me ajata hai.lohe zohra mukhtalif qisam ke tyar kiye jate hain iski tafseel se yeha kam nahi balke is lohe taskheer e lasani ki mukhtasar khasiyat qalamband karta hun, yeh loh do adad hajatmandon ko dia jata hai aur istemal muafiq e halaat bata dia jata hai.
(1) makhsoos ghar me rishta ho jane ke liye
(2) ladkiyon ki shadi me rukawat door ho jane ke waaste
(3) matloob o mehboob ko hazir lane ke liye
(4) karibar me taraqqi ke liye
(5) Khalaiq ki taskheer aur awamunnas ka dil jitne ke waaste
(6) zalim shohar ya susral wale ki mohabbat hasil karne ke liye 
(7) nafarman biwi ko qabu me rakhne ky waaste 
(8)Husn o Khubsoorti me izafe ka behtarin loh hai
(9) kisi se apni bat manwane ke liye nihayat moassar 
(10) pasand ki shadi ke liye lajwab aur barha ka azmoda.

gharz ke taskheer o hub se mutalliqa kamon me yeh loh apna asar kamil rakhti  hai. 

Sunday, September 11, 2016

Auj e Mushtari Ke Alwaah O Tilismaat اوج مشتری کے الواح و طلسمات (Jupiter Talismans And Amulets In Glory Of Jupiter)







Auj e Mushtari Ke Alwaah o Tilismaat
september 2013 me sad akbar saiyarah Mushtari ko 12 salon ke bad burj e sartan ke pandrawin darje par sharaf hua tha is mauqe se ek nahi balke anek alwah o nuqoosh o tilismat o chiragh tyar kiye gaye the jin ki qismat me inse mustafeed hona tha unho ne hasil kia ,yeh saare roohani tohfe is qadar tezi se khatam hue ke mujhe apne khas ahbab ke liye bhi bachane ka mauqa na mila ,alwaah o nuqoosh jo tyar kiye jate hain is me  aisi roohaniyat hoti hai jo zaroorat mando.n ko apni janib kashish karti hai ,har kohna mashq aamil yeh bat ba khoobi janta hai ke jab woh koi Loh tyar karta hai to iske talluq se kaise ghaibi taur par hajat mand rabte me aate hain , ab chunke sharf ka waqt to hath se jata raha lekin Auj e Mushtari apne qawi tar asaraat ke saath burj e mizaan ke dusre darje par qayam pazeer hone wala hai ,jab koi saiyara kisi khas burj ke makhsoos darje par aata hai to usey Sharaf,Huboot,Auj,Wabal ya Hasees ki kaifiyat se wasta parhta hai aur in mukhtalif kaifiyat ka asar la mohala alam e bala se alam e asfal par hota hai jiski waja se in saiyaron ke mansoobat manfi ya musbat tariqe se mutassir hote hain,misal ke taur par aap saiyara mushtari ko hi le lijye abhi yeh burj e mizan me jane se qabal burj e sunbla me qayam pazeer tha aur yeh burj is saiyaare ki wabal ka burj hai matlab yeh ke Mushtari is burj me apni musbat quwat kho baithta hai aur jab koi saiyaara manfi taur par asar pazeer ho raha hota hai to us waqt ke mansoobat ke talluq se manfi aamal , naqoosh ,tilismat aur chiragh tyar kiye jate hain ,thik aise hi Mushtari burj e mizan ke dusre darje par apni mansooba shaiy yani husool e daulat par zabardast musbat asar dalta hai aur is waqt aalam e bala se aane wali roohani shoaao.n ko amaliyati usool o qawaid ke mutabiq Huroof o Aadad , Asmaaye ilahi aur Ayat e Qur'ani ki madad se ba moakkil Jafri Loh,Taweez,Tilism ya Chiragh me jazb kar lia jata hai ,jiske istemal se insan par husool e zar aur maal o daulat ki aamdan ke mukhtalif zaraye khul jaate hain saalo.n ka purana qarz ada hone ki soorat paida ho jati hai aur kam waqt me ziada kamyabi meyassar aati hai lihaza aise mubarak waqt me ziada se ziada Roohani Tohfe tyar kiye jayenge jin ki fehrist hasb e zeil hai.

Mushtari ki tamam tar sa'adato.n ke husool ke waaste
LOHE AUJ E MUSHTARI 
(Ba a'waan o muakkilan)

Husool maal o daulat ke liye 
LOHE TASKHEER E DAULAT

Taraqqi Rizq o Rozgar ke liye
LOHE RIZQ E KHAS

Taraqqi maraatib aur taskheer e khalq ke liye
LOHE TASKHEER E HAJAAT

Be andaza daulat jama karne ke liye 
TILISMI CHIRAGH BARAYE DAULATMANDI

Aamdan ke mukhtalif zaraaye paida karne ke liye 
LOHE SA'ADAT E MUSHTARI

Qarz ki adaayegi ke waaste 
LOHE ADAAYE QARZ

Inami schemes se faida uthane ke liye
LOHE KHUSH QISMATI

Karobari Nuqsaan se bachao aur maal o daulat me izafa ke liye 
LOHE SURAH IKHLAS

Ruke hue paise aur qarz ki usooli ke liye 
LOHE DUA E YONUS BA MUAKKIL

Dimaghi amraz jaise junoon o pagalpan ke liye mushtari ke auj me KHAS LOHE SHIFA tyar ki jayegi,

Kahir o barkat aur hifazat ke liye ghar,dukan,makan,factory,office me frame kara kar lagane ke waaste ek nihayat khubsoorat TUGHRA AUJ E MUSHTARI tyar kia jayega ,yeh TUGHRA IDARA ROOHANI IMDAD ke membran aur Idare se munsalik Mulk o Bairoon e Mulk ke haajatmando.n ko bila qimat irsaal kia jayega. 

Wednesday, April 6, 2016

Loh E Sharaf E Aftab لوح شرف آفتاب (Sun Glory Talisman)


Lohe Sharaf e Aaftab
Izzat o azmat , jaah o hashmat, taraqqi madarij , rob o dabdaba , sarbulandi, izzat o martaba, ghalba o tasallut ke husool ke liye yeh zinda tilism ka kam deta hai , who log jo dusron se piche rah gaye hain ya aala maqam hasil nahi kar sake ,halqaye ahbab aur kam ki jagho me koi izzat nahi aise logo ke lye ek ruhani tohfa hai iske hamil par koi shakhsh ghalib nahi aasakta  election me kamyabi , muqabla jati imtehanat , futoohat ki azim taseer rakhta hai ,zamana e qadeem se tamam hukama ka is naqsh par etemad hai aur mera barso ka tajarba hai.
Taskheer khalq aur taraqii e darajat ka muassar waqt
Shamsh burj e hamal me harkat karta hua jab 19 win darja par pohachta hai to usey sharaf hasil hota hai sal me sirf ek bar yeh sunehra mauqa hath ata hai ye tamam halaton me saadat darja me qawi hota hai shamsh saiyargan e falki me sab se bada shahanshah ka darja rkhta hai sab se ziyada noorani aur aur taqatwar asar zamin par dalne wala hota hai zindagi aur rooh ki twanai isse quwat pati hai, isliye iska sharaf aamilin o kamilin ke nazdeek hamehsa se tawajjo ke qabil raha hai is waqt jo makhfi quwaten zamin par asar andaz hoti hain usko agar zabt me laya jaye to who apni beiznillah apni taqat se hamil ke liye azeem haibat rob aur quwat paida karta hai aur ek mumtaz maqam tak lata hai jisse saakinaan e maujoodat me iska rutba buland tar hota chala  jata hai ,lihaza har sal aise mauqe par hum aise amaliyat tyar karte  hain jo taskheer khalaiq , afzooni e rizq , jaaho martaba aur musalsal taraqi lane wale hote hain har sal april ke mahine me yeh waqt ata hai aur kaseer tadad me naqoosh o talism tyar kiye jate hain zaroorat mand hazraat o khwateen rabta kare ,waajeh rah eke sharaf e aftab me mukhtalif qisam ke naqoosh o tilism tyar kiaye jate hai maslan ba muakkil naqsh batariq ilm e jafar jo ke sail ken am aur uski walida ken am se banaye jate hain aise naqoosh ke liye sharaf se pehle rabta karna zaroori hai kyunke takseer waghaira bnane me kafi waqt lagta hai aur qabal az waqt mukammal tyari chahiye iske elawa jo naqsh bante hain who hare k sail ko kifayat karta hai aur Alhamdulillah sare naqoosh hi sharaf e aftab ke lajwab hote hain hazaron afrad har sal isse mustafeed hote hain
Sharaf e aftab me mandarja zail maqasid ke husool ki khatir alwah o tilism aur jafri naqoosh banaye jate hain

@Muqablajati imtehanat me kamyabi ke liye
@Karobar ko urooj tak pohchane ke liye
@Maqam o martaba me bulandi ke liye
@Har qisam ke muqaddme me kamyabi ke liye
@Berozgari ke khatma ke liye
@Kisi firm ya company ki shohrat ke liye
@Kisi bhi kam  me ghaibi madad hasil karne ke lye
@Shohrat aur namwari ke liye
@Daulatmand aur ameer e kabeer banne ke liye
@Hamesha taraqqi karte rahne ke lye
@Aulad e narina ke husool ke liye.

Monday, June 22, 2015

Lohe Taskheer E Daulat لوح تسخیر دولت (Talisman For Improving Wealth)


Lohe Taskheer e Daulat Ki 3 Aham Khususiyat
  1. Yeh Loh daulat Ko is tarah khinchti hai jaise lohe ko maqnatis khinchta hai.
  2. Business me had darja munafa ke sath maali nuqsanat se mukammal tahffuz.
  3. Mulazimat aur Job karne wale afrad ki tankhwah hasb e khwahish bad jati hai.
Saiyaro.n ke nihayat saad aur qawi nazrat me yeh Loh Husool e Daulat ki khatir tyar ki jati hai ,mushtari ke samne rakh kar tanjimi amal bhi kia jata hai jis se is ki quwat aur taseer kai gunah barh jati hai ,tanbe ke patre ke sath kaghaz par bhi dastyab hai.
لوح تسخیر دولت کی 3 اہم خصوصیت
  1. یہ لوح دولت کو اس طرح کھینچتی ہے جیسے لوہے کو مقناطیس کھنیچتا ہے
  2. کاروبار میں ھد درجہ منافع کے ساتھ مالی نقصانات سے مکمل تحفظ
  3. ملازمت اور نوکری پیشہ افراد کی تنخواہ حسب خواہش بڑھ جاتی ہے
سیاروں کے نہایت سعد اور قوی نظرات میں یہ لوح حصول ِدولت کی خاطر تیارکی جاتی ہے ،مشتری کے سامنے رکھ کر تنجیمی عمل بھی کیا جاتا ہے جس سے اس قوت اور تاثیر کئی گناہ بڑھ جاتی ہے ،تانبے کے پترے کے ساتھ کاغذ پر بھی دستیاب ہے



Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668